Showing posts with label Ghazal Sms. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Sms. Show all posts

Thursday, December 31, 2009

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga

Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga

Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga

Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey

Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi

Aur na Pa ke Mujhey

Aap hi Aap Mujh sey Roth ti Ho gi
Zaror Masrof Hon buhat ya koi Test hai Mera

Tawelein Ghurr ke khud hi Behal ti Ho gi
Tanha Sard Raat Mein

Yuon hi Sarak peh Tehaltey Huvey
Khyaalon hi Khyaalon Mein

Haath us ney Mera Thama Ho ga

Phir Kisi Pool ke Nechey Ruk kar
Aankhon Mein Mere us ney Jhaanka Ho ga

Tuesday, December 1, 2009

tera khayal meri toti sanson ko

har darkhan k saath dil tera nam leta hai
tera khayal meri toti sanson ko tham leta hai
jb b tanhaiyan satati hain
tera tassawor mera hath tham leta hai

Friday, November 27, 2009

kisi k dihan main tum kho gaey kya

Gazal sun ker pareyshan ho gaey kya
kisi k dihan main tum kho gaey kya

ya bay-ganaravi pahlay nahi thee
kaho tum bhi kisi k ho gaey kya

abhi kuch dair pahlay tak yahi thay
zamana ho gaya tum ko gaey kya

kisi taza rafaqat ki lalak hai
puranay zakham achay ho gaey kya

palat ker charahger kun aa gaey hain
shab-e-furqat k maray soo gaey kya

Faraz itna na itra hoslay per
isay bhoolay zamanay ho gaey kya

Friday, November 20, 2009

Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey

Apney Uljhey Huwey Din Raat Bhi Suljha Na Sakey
Itney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey

Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey

Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey

Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey

Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey

Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey ….!

Mujh Say Kehti Ho Mujhay Tum Say Mohabbat Hai

Tum Kehti Ho Mujhay Phoolon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Phool Khiltay Hain
Tu Unhain Tehni Say Toor Dalti Ho
Tum Kehti Ho Mujhay Baarishoon Say Pyaar Hai...?
Magar Jab Baarish Hoti Hai
Tu Chuppti Phirti Ho
Tum Kehti Ho Mujhay Hawaoon Say Pyaar Hai....?
Magar Jab Hawa Chalti Hai
Tu Khirkiyan Band Kar Leti Ho
Phir Is Waqt
Main Khoof Zada Sa Ho Jata Hoon
Jab Tum..... Mujh Say Kehti Ho
Mujhay Tum Say Mohabbat Hai

Kuch Likhna Chahata Hoon

Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon ...

Woh tera naam tha

Jis ki jhankaar main dil ka araam tha, Woh tera naam tha

Mere honton pe raksaan jo ek naam tha,Woh tera naam tha



Muj se mansoob theen dastaneen kahi, Aik se aik nayi

Khubsurat magar jo ek ilzaam tha, Woh tera naam tha



Kaise karta kisi aur ki gufhtguh, Yaad tha sirf tu

Muj ko mere janoon ka jo inaam tha, Woh tera naam tha



Suba se shaam tak jo mere paas thi, Woh teri aas thi

Shaam k baad jo kuch lab_e_baam tha, Woh tera naam tha



Dost jitne the na ashna ban gaye, Paarsa ban gaye

Jo mere sath ruswaa sar_e_aam tha, Woh tera naam tha



Gham ne tarikhiyon main uchala mujhye, Maar dala mujhye

Ek nayi chaandni ka jo pahgaam tha, Woh tera naam tha



Tere hi dam se hay yeh kateel aaj bhi, Shaeri ka wali

Is ki ghazloon main kal bhi jo alhaam tha, Woh tera naam tha

mujhe tum se kuch kehna hai

Suno!
muujhe tum se kuch kehna hai

Mujhe se budguman mut hona
meri is baat pe heran mut hona
aaj tum se ijazat chahi hai main ne
yeh soch kay pareshan mut hona

Sunoo!
Aaaj tumhari ankhon main nami hogi
dil main eik khalish bhi uthi hogi
dard aanso ban kay behta hoga
udasi chaar so pheli hogi

Sunoo!
kisi ka chehra jo dekho tu
os main mera chehra na khojna tum
kaheen yeh wahi tu nahi
yeh soch kay na har kisi ko rokna tum

Sunoo!
mujhe eik yaad samjh kay bhula deana
mujhe eik unkahi kahani samjh kay bhula deana
main gauzre waqt ki dhol thi shayed
yeh soch ka hi khud ko behla leana

Sunoo!
mujhe tum se kuch kehna hai
kuch kehna hai......

Kyun tham gaye tere chehre pe yeh nazar

Kyun tham gaye tere chehre pe yeh nazar
Na tha jab meri mohabbat ka saya udhar
Tu bhol gaye humara tarz-e-takhatub bhi
Humse bhulaye na gaye teri berukhi magr
Kiya jo eyhad tujhse nazrien churane ka
Zamane ne phirya humko issi sabab har nagar
Kiya tha jo tu smajh leti meri yeh nazar
Na hota yeh qissa na hoti yeh ghazal

Khudaa ham ko aisii Khudaaii na de

Khudaa ham ko aisii Khudaaii na de
ki apane sivaa kuchh dikhaaii na de


Khataavaar samajhegii duniyaa tujhe
ab itanii bhii zyaadaa safaaii na de

hanso aaj itanaa ki is shor mein
sadaa sisakiyoun kii sunaaii na de


abhii to badan mein lahuu hai bahut
kalam chiin le raushanaaii na de


mujhe apanii chaadar se yuun dhanp lo
zamiin asaman kuchh dikhaaii na de


gulaamii ko barakat samajhane lagein
asiiroun ko aisii rihaaii na de


mujhe aisii jannat nahiin chaahe
jahaan se MADINA dikhai na de

main ashkoun se naam-e-MUHAMMAD(SAW) likhuun
qalam chhiin le raushanii na de

Khudaa aise irfaan kaa naam hai
rahe saamane aur dikhaaii na de

....................................................................

one of My favourite Ghazal.

Masood Khan & Sheelu: Khuda Hum Ko Aesi Khudai Na Day




bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,


har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,


ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine.

Yeh baat umer bhar samjh na paayi may

Muddat say jiss kay waaste Dil bay qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha

Jo humsafar tha chorr gaya raah may mujhe
May phans gayee bhanwar main woh darya ke paar tha

Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao kay yeh kaisa Pyaar tha

Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha, na mujh ko qaraar tha

Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha

Yeh baat umer bhar samjh na paayi may
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha

Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahta hoon

Ajeeb Shakhs hoon Khudh ko jalana chahta hoon,
Mein khudh ko rakh kar kahe bhool jana chaht hoon,

Meray naseeb ki khushiyan bhi kab milli mujhko,
Bas ab to umer bhar ansoo bahana chahta hoon,

Najaney kitni mohabbat hai ranj-o-gham hai mujhey,
Koi bhi dard ho dil mein chupana chahta hoon,

Baha baha ke yeh ansoo bikhar chuka hoon bohaat,
simat ke zaat mein ab muskurana chahta hoon,

Jisey aik umer se Dil mein basa kai rakha hai,
Woh raaz aaj mein sab ko batana chahta hoon,

Wohi yaad hai jo acha kaha hai logo ne,
Baqaya sarey sitam bhool jana chahta hoon,

Mujhe zamaney nai pathar samjh liya hai magar,
Mein aik insan hoon sab ko batana chahta hoon,

Jo mujh se ruth chuky hain zamaney ki khushiyan,
To mein bhi khushyon se ab ruth jana chahta hoon,

Woh meri khwahishein woh mera khuwaab woh mera bacheni,
Umer rafta mein phir sai woh pana chahta hoon,

Koi to ho jo mujhe bhi lagaye seenay se,
Kisi ko mein bhi gham apna sunana chahta hoon

Mein mar hi jaaon koi aisi saza do mujh ko

Chahoo Jo meri khataoon ki saza do mujh ko
Per Khata kya hai zara itna bata do mujh ko


Meiney chaha tha tumhien aisey tu aakhir kyun kar
In wafaoon k siley aisi wafa do mujh ko


Bhoolna tum ko hamarey liey na mumkin hai
Jo ho sakey tu sanam tum hi bhula do mujh ko


Ab agar soch hi lia hai jo qata ka "SAAIR"
Mein mar hi jaaon koi aisi saza do mujh ko


~Syed Hasnain Raza Saair~

kaisay bhoolon ga tere saath guajare lamhay

phir kisi yaad ne raat bhar hai jagaya mujhko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujhko

Din ko aaram hai na rat ko hai chain kabhi
Janay kis khaak say kudrat nay banaya mujhko


Dukh to yeh hai keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hai woh mila ban ke paraya mujhko

Jab koi bhi na raha kandha mere ronay ko
Ghar ki deewaron ne seenay say lagaya mujhko

aab to umeed-e-wafa tum say nahein hai koi
Phir charaghon ki tarah kis ne jalaya mujhko

Bewafa zindagi ne jab chor diya hai tanha
Maut ne pyaar say pehloo main bithaya mujhko

Woh diya hoon jo mohabbat ne jalaya tha kabhi
Gham ki andhi ne subah aur shaam bujhaya mujhko

kaisay bhoolon ga tere saath guajare lamhay
Yad aata raha julfon ka hi saya mujhko.....

Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye

Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye
Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye


*~~*~~*~~*


Wo Mujh se phir mila hai Aaj Khawabon mai
Ae Khudaya kahin Meri Neend khul na jaye



*~~*~~*~~*


Pucha na ker sab ke Samne Meri Kahani
Kabhi Tera Maam Hoton se nikal na jaye


*~~*~~*~~*


Ji-Bhar ke dekh lo Hum ko Tum Sanam
Kya pata phir Zindagi ki Shaam dhal na jaaye


*~~*~~*~~*



Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye
Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye

Saza toh yaad rahi our khata bhool gaye

Dard deker mohabbat ki ada bhool gaye
Dil mein the kaid mager rasm-e-wafa bhool gaye.

**********

Jin aankhoN meiN chhalakte the sharaab her dum yuiN,
Kya ghula Zeher, maikede ka nasha bhool gaye.

**********


Zakhm dete rahe Lawa bhhi ugalta hi raha,
Guzre haiN Ishq mein per Rooh-e-wafa bhool gaye.

**********

Shumaar rehte kabhie the aziz logoN meiN,
Ab khyaloN meiN bhi woh dil ka pata bhool gaye.

**********

Be-piye 'musafir' Gunah kerne ko mazboor hua,
Saza toh yaad rahi our khata bhool gaye.

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai

ye dil tujhe itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai


**********

Tu kitna bhi mujhse talkh e talluk rakhle
Zikr phir bhi tera meri zaban pe aata kyu hai


**********


Yuh to hai kayi fasle tere mere bich
Lgata phir bhi tu mujhko meri jaan sa kyu hai


**********

Teri furkat main tadapne ki ho chuki hai adat meri
Tere dur hone ka phir bhi ehsaas mujko rulata kyu hai


**********

Ye jaanti hu ke tujhko nahi mohabbat mujhse
Magar phir bhi lab pe mere tera hi naam aata kyu hai


**********

Hai yaqeen tujhko paana na hoga mumqeen mere liye
Ye dil phir bhi roz umeed ki shama jalata kyu hai


**********

Mehsus ki hai berukhi teri baato mian kayi baar maine
Lehjo wo phir bhi tera mujhko itna bhata kyu hai


**********

Hai khabar mujhko nikalega tu meri chahat ka janaza ek din
Mann mera phir bhi tere khwab sajata kyu hai


**********

Gar bichad na hi hai to khuda humko milata kyu hai
KAMSIN ko akhir wo itna satata kyu hai


**********

Dil mera tujhko itni shiddat se chahta kyu hai
Har saans ke sath tera hi naam aata kyu hai

Mujhpe bijli girao to jaanu sahi

Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,



************


Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida




************


Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,



************


Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,



************


Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,



************


Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida...!!!

Tumhain yaad karke karwate badalte rahe

Yeh halat hamari hogayi tum se milne ke baad
Zindagi pyaari hogayi hai tum se milne ke baad

Her cheez main ek ajab rang hai Mohabbat ka
Her cheez pyaari hogayi hai tum se milne ke baad



Chaand taaron ko chooliya main ne bhi aaj
Duniya hamari hogayi tum se milne ke baad

Tumhain yaad karke karwate badalte rahe
Raat yun hi saari guzar gayi tum se milne ke baad
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...