Friday, November 20, 2009

Jo chahe wo sitam mujh per rawa rukhay ye duniya

Batata hai mujhe aaina kaisi berukhi se
Ke main mehroom hota ja raha hoon roshni se



---X---X---X---


Kise ilzaam doun mein rai'gan honay ka apnay
Ke saare faisley mein ne kiye khud hee khushi se




---X---X---X---


Her ek lamha rehti hai taza ak shikayat
Kabhi tujh se , kabhi khud se , kabhi is zindagi se



---X---X---X---


Mujhe ab tuk bohut khahish thi khud se guftugu ki
Mein chupta phir raha hoon aaj apnay aap hee se



---X---X---X---


Jo chahe wo sitam mujh per rawa rukhay ye duniya
Mujhe youn bhi tawaqa ab nahi kuch bhi kisi se..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...