Friday, November 20, 2009

Mein mar hi jaaon koi aisi saza do mujh ko

Chahoo Jo meri khataoon ki saza do mujh ko
Per Khata kya hai zara itna bata do mujh ko


Meiney chaha tha tumhien aisey tu aakhir kyun kar
In wafaoon k siley aisi wafa do mujh ko


Bhoolna tum ko hamarey liey na mumkin hai
Jo ho sakey tu sanam tum hi bhula do mujh ko


Ab agar soch hi lia hai jo qata ka "SAAIR"
Mein mar hi jaaon koi aisi saza do mujh ko


~Syed Hasnain Raza Saair~

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...